Sunday, April 15, 2012

Ek baat...

Sharing my favorite poems from the movie Zindagi Na Milegi Dobara. They inspire me always!

Pighle Neelam Sa Bahta Hua Ye Sama
Neeli, Neeli si khamoshiyan
Na kahin hai zameen, na kahin aasman
Sarsarati hui tethniyan, pattiyan
Kah rahi hain ki bas ek tum ho yahan
Sirf main hu, meri sanse hain aur meri dhadkane
Aisi gahraiyan, aisi tanhaiyan, aur main, sirf main
Apne hone pe mujhko yakeen aa gaya



Jab, jab dard ka badal chhaya
Jab gham ka saaya lehraya
Jab aansun palko tak aaya
Jab ye tanha dil ghabraya
Humne dil ko ye samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yun hi hota hai
Ye jo gahre sannate hain
Waqt ne sab ko hi bante hain
Thora gham hai sab ka kissa
Thodi dhoop hai sab ka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai



Dilon me tum apni betabiyan lekar chal rahe ho to zinda ho tum
Nazar mein khwabon ki bijliyan lekar chal rahe ho tum to zinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise azaad rahna seekho
Tum ek dariya ke jaise laharon mein bahna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ek naya sama dekhe ye nigahein
Jo apni aankho mein hairaniya lekar chal rahe ho to zinda ho tum
Dilon me tum apni betabiyan lekar chal rahe ho to zinda ho tum


Katrina Kaif in Zindagi Milegi Na Dobara, my favorite character in the movie

एक बात होटों तक है जो आई नहीं
बस आँखों से है झाँकती
तुमसे कभी मुझसे कभी
कुछ लब्ज़ है वो मांगती
जिनको पहनके होटों तक आ जाये वो
आवाज़ की बाहों में बाहें डालके इठलाये वो
लेकिन जो ये एक बात है
एहसास ही एहसास है
खुश्बू सी है जैसे हवा में तैरती
ख़ुशबू जो बेआवाज़ है
जिसका पता तुमको भी है
जिसकी खबर मुझको भी है
दुनिया से भी छुपता नहीं
ये जाने कैसा राज़ है
~ Javed Akhtar

No comments:

Post a Comment